Wednesday, July 27, 2011

Gunaha -E- Mohabbat

Na din ko aaram hai,Na raat ko chain hai,
Na jane mera dil kyo itna bechain hai,
Hasrat is dil mein tere pyar ki liye betha hu,
Mohabbat ki galiyo mein khud ko sajaye betha hu,
Tu ja aa ja mohabbat ka masiya ban kar,
Meri is dubti nayia ko par laga ja masiya ban kar,
Jo the sath mere unhone sath na diya,
Aye khuda ab tu bula le mujhe,
Apne sajde mein ye sab dekh kar........

MERE ARMAAN

Jo Armaan mere so gaye the
Jane kaise Wo Aaj jag Gaye
Aur mujhe Phir Wahi Sapna dikha gaye

Hum to Ji Rahe the ek jinda Laash ki tarah
Jane aaj Kaha se wo hum par Jaan Daal gaye
Phir wahi Dard Aur takleef jaga gaye

Jin gumo se Hum bhaag Rhe the
Wo Aaj phir hume Tadpa gaye
Har lamha har pal hum to sirf haste the
Phir Kyu Aaj humari ankho me ansoo Aa gaye

Socha tha shayad phir kabhi na aane denge inhe apne labo par
Phir kyu aaj ye labo par aate/2 rah gaye
Jindagi ji rahe the haste /2
Phir kyu aaj ye gumo ke badal cha gaye

Na kisi dukh ka ahsaas tha
Aur na kisi khushi ka
Phir kyu aaj hum khushiya manane lage
Aur rone ko tadap gaye
Jane mere armaan kaise jaag gaye

BAS AKHIRI BAAR

Dil ne Kaha Bas Akhiri Baar
Keh Du Aur phir chale
Hum Apne Raste Aur Tum Apne Raste
Tum Is Baar bhi kahoge
Tumahara Bas ye Akhiri Baar

To kya hua Dil Mera toda tumne
Is Dil ko Dhadkna bhi to sikhaya Tumne

Is jindagi me ji Bhar ke rulaya Tumne
Akhir hasi kya hai ye bhi to batlaya Tumne
Pyaar par se barosa toda mera
Pyaar ka ehsaas bhi to jagaya tumne
Ye keh du tumse Bas Akhiri baar

Ek sawal Jo Dil me Reh Gaya
Mere Pyaar ka anjaam reh Gaya
Dekh lu Tumhe Ek baar Phir se
Ek Hi Pal me sab kuch keh du Dil se
Tumse keh du bas Akhiri baar

To kya hua tumne mughe bhula Diya
Meri To har saans me ho tum,jisne mughe jina sikha diya

Is tarah Aaj bhi ji rahe hai
Mukurahat to hai par muskan kho rahe hai
Aur is jism ko bina jaan ke chala rahe hai
Tumse ye keh rahe hai Bas Akhiri Baar

Ab In raho par naye musafir milenge
Shayad hum phir kahi milenge
Bas yahi arjoo aaj bhi hai dil me
Ki Ek naya Din hum Saath Roshan Karenge
Yahi kehna chahte the tumse Bas Akhiri Baar

एक लड़की ...........

एक लड़की है..जो सुबह सी दिखती है
पलकों से जिसकी.. हर शाम फिसलती है
एक लड़की है..पल पल पल सी चलती है
पत्तों पे ..जैसे शबनम सरकती है
दूर खड़ी कोई शाम अकेली
ढूँढती हो जैसे कोई सहेली
एक लड़की है..जो छुपती निकलती रहती है
साँसों से धीमी आहट है उसकी
बूँदें पकड़ना चाहत है जिसकी
एक लड़की है..बारिश सी छम छम बरसती है
एक लड़की है..जो सुबह सी दिखती है
एक लड़की है..पल पल पल सी चलती है